Thursday, March 29, 2012

Aatankvaad ki mansha ki samajh tabhi ho sakti hai jab hum uski mansikkta ko samjhein!!!

Vibha Tailang

Aatankvaad ki mansha ki samajh tabhi ho sakti hai jab hum uski mansikkta ko samjhein!!!

Written by vibhatailang // July 14, 2011 // Politics // No comments

Aaj after 3 days of writing this heading , 13/7/11 ko hue serial blast ke sandharbh mein Shri Digvijay Singhji v Shri Shahnavaz,Shri M.A.naqviji ke bayan sune.Kafi gambhir mansikta se bayan deeya gaya ho aissa lagta nahin hai. Sambhavth Paksh v Pratipaksh ne apna dayeetva nibhaya hai.Vishwas hai jald hi iss ke peeche ke logon ka pardafash hoga aur unhein saza bhi milegi.

Aaj mein apne vichaaron se pahle uss vyakti ke Islam aur Jihaad per vichar likhoongi jinke vichaar mujhe kafi prabhavit kerte rahe hein.Halanki unko likhe aur abb guzre hue bhi saalon ho gaye hein per unke vichar aaj bhi anukuul,upyukht aur seekh denewale hein.

Rastrakavi swargiye Shri Dinakerji ke shabdon mein,”Namaz,Roza,Haj aur Jihad,ye Islami dharma ke mull mane jate hein,balki,Jihad to ek tarah se rashtriye kartavya samjha jata hai.Jihad ka samanya arth Yudh ya Dharmayudh hai,kintu,Aarambh mein,yeh shabd itna bhayanak arth nahin deta tha.Jihad shabd Jahad dhatu se nikla hai,jiska arth taqat,Shakti ya yogyata hota hai.Klein namak ek vidhvan ne Jihad ka arth sangharsh kiya hai aur iss sangharsh ke usne 3 shetra mane hein.

1-Drishya shatru ke virudh sanghrsh,

2-Adrishya shatru ke virudh sanghrsh aur,


3-Indriyon ke virudh sangharsh.

Sadharanth:,vidhuvanon ka yeh matt hai ki Islam ke prachaar ke liye jo ladaiyan laddi gayeen,unhein pavitra visheshan dene ke liye hii iss shabd ka prachalan kiya gaya.Kintu,Mohummud Ali(Religion of Islam ke lekhak) ka matt hai ki iss shabd ka arth Islam ke prachaar ke liye yudh karna nahin hai.Macca mein uternewale quran ke aanshon mein jahan-jahan yeh shabd aayya hai,vahan-vahan isska arth parishram,udhyog ya samanya sangharsh hii hai.Ladne kii ijjazat Nabi ne tab dii,jab ve bhaag ker Madeene pahuunche ya jab ve macca chod ker bhagne kii tayyari mein the. Madine mein aatmraksha ke liye talwar uthana aawashyak ho gaya.Tabhi ladaiyan Jihaad ke naam se chalne lagiin kintuu,yahan bhi Jihaad ka vyapak arth hai aur uske bhiiter vanni aur talwar dono ke liyee sthaan hai.

Hadis haj ki bhi giinti Jihaad mein karta hai aur kahta hai ki,”Nabi ne kaha hai ki sabse aaccha Jiihaad Haj mein jana hai.’ Kintu,picche chal ker qaziyon(nyaypatiyon) ne Jihaad ka arth Yudhh ker diyaa.

Mohaamad Ali ke matanusaar,vidharmiyon ko talwar ke zor se islam mein lane ki shiksha quran ne nahin dii thi,na yeh baat Nabii ke hii demaag mein thi.Ladne ki Ijazat Nabi vahin dete the,jahan aatmrakhsha ka prashshnn hota tha.Kintu,jab mulla aur qaazi serveserva bann baithe,tab unhonne sarri duniya ko do hisson mein banntt deeya.Jiss hisse mein mussalman sukhi aur swatantra the,yani jiss hisse per unki hukumat thi usse to unhone Darul-Islam(Shanti-Ka-Desh)kaha.Isske vipriit,Dharti ke jiss hissse per unka aadhipatya nahin tha,usse Darul-Harab(Yuddh-Sthal)keh ker unhonein mussalmanon ko uttejiit kiiya ki aisse deshoon ko jeet ker vahan Islam ka jhanda gaddna Jehadiyon ka param kartavya hai.Kintun kissi lekhak ne yeh bhi leekha hai ki vishwa bher mein Islaamisamrajya sthapitt kerne kii kalpana Muhaamud saheb mein bhi jagii thii.Ve aakser kehte,”Tumhein manna chahiye ki hur ek muslim hur doosre muslim ka aapna bhai hai.Tum sabke sab aapas mein samaan ho.” Apne jeevan ke aant tak aate aate, unki dharana yeh ho gayii thi ki saari Prithvi ko ek dharma ke aadheen hona chahiyee. Sare sansar ke liye ek Nabi aur Ek hi dharma,Yeh bhav unmein jug chuka tha”.

Islam ka aarambh dharma se hua tha,kintu,badhh ker vah rajya aur sena ka sanghthan bhi bann gaya.Iss prakar,Islami rajya,Islami sanskriti aur Islami rashtra sabke sath dharma ka josh leepatt gayya.Pehle tooo dharma ke aavesh se hii rajya kii sthapna hui thi. Peeche,rajya kii shakti-vridhi se dharma ka bhi pratap badhne laga.Issai deshon mein padri aalag aur raja aalag the. Bharatvarsha mein purohit alag aur raja alag the. Kintu Islaami deshon ka dharm-guru aur raja,donon ek hii vyakti hone laga. Iss prakar,Dharam se talwar kii tezi badhi aur talwar se dharma ka bal badhne laga.

Islam ke dekha-dekhi Bharat mein sikh-sampradaye ka sangthan bhi issi sidhanta per kiyya gaya tha.

Swargiye Shri Vivekanandji ne Ramkrishna Param hansa ne sadhnapurvak dharma ki jo annubhutiyan thiin,swami Vivekanandji ne unse vyavharik sidhaant niikale.Apne chatra jeevan mein ve unn hindu yuvon ke saathii the,jo europe ke uddaar evam viveksheel chiintakon kii vichaardhara per anuraqt the tatha jo isshvariyee satta evam dharma ko shanka se dekhte the.Vivekanand ka aadarsh uss samay europe tha evam europiyee uddyamta ko ve purush ka sabse tejasvi lakhshan mante the.

Swamiji hindutva ki shuddhi ke liye uthhe the tatha unka pradhan shetra dharma tha.Kintu,Dharma aur sanskriti,ye parasper ek dusre ka sparsh karte chalte hein.Bharatvarsh mein rashtya patan ke kai karann aarthik aur rajnaitik the. Kintu,bahut-se karann aisse bhi the,jinka sambhandh dharma se tha.Ateyv,unhone dharma ka parishkar bhartiye samaj ki aavashayaktaon ko drishtigaat rakhh ker karna prarambh kiyya aur iss prakriya mein unhonein kaddi se kaddi batein bhi baddi nirbheekta se keh diin.Unke samay mein hii yeh pratyaksh ho gaya tha kii bharat europe ke saman rajnaiitik shakti ka aagaar hona chahta hai.Isski upyogeeta sweekar karte hue bhi unhoneh yeh chetavni dee thii ki “Bharat kii reedh kii haddi dharma hai”.Wah diin bura hoga, jab yeh desh aapni aadhyatmiik reedh ko haata ker usski jagah per ek rajnaitiik reedh baitha lega.

Hindutva ke prabal samarthak aur vishva pracharak hone per bhi unmein Islam ke prati koi duesh nahiin tha.Unke Guru Paramhans ne to 6 mahiinon tak,veedhivat,mussalman ho kar Islam kii sadhna kii thi.Iss sanskar ke karann Islam ke prati unka drishtikon ythesta roop se udaar tha.Unhone kaha hai ki,”yeh to karma ka fal tha kii Bharat ko doosrii jaatiyon ne gulam banaya.Kintu,Bharat ne bhi aapne veejetaon mein se prateyek per sanskritik vijay prapt kii.Mussalman iss prakriya ke aapvaad nahiin hein.Shikshiit musalman,praya: Suffi hote hein jinke vishwaas hinduon ke vishwaas se bhiin nahin hote. Islaami sanskriti ke bheetar bhi hindu-vichaar pravisht ho gaye hein.Vikhyaat mughal samraat Akbar hindutva ke kafi sameep tha. Yahi nahin,pratyut,kal-kram mein england per bhi Bharat ka prabhav padhega.”

Sister Nivedita ki pustak”My Master” mein ullekh hai ki ek baar swamiji 3-4 deenon kii samadhii se lout ker unse bole,”Mere mann mein yeh soch ker brabar shobh uthata tha ki musalmanon ne hinduon ke mandiron ko quon todda,unke devi-devtaon kii murtiyon ko quon bhrasht kiiya?/ Kintu,aaj mata kali ne mere mann ko aashvast ker deeya.Unhone mujhse kaha,”Apni murtiyon ko mein kayan rekhoon ya toddva doon,yeh meri icchha hai.Inn baton per soch-soch ker tu quon dukhi hota hai?

Islam aur Hindutva ke milan ka mahatva unhonein ek aur uccha starr per batlaya hai.Samanyata:,Vedanta gyan ka veeshay samjha jaata hai,jiismein tyag aur vairagya kii batein anivarya roop se aa jatii hein,kiintu,Islam,mukhtaya:, Bhakti ka marg hai ththa Hazrat muhaamad ka panth deh-Dundan, Sanyas aur vairagya ko mahatva nahin deta.Kintu,Vivekanand ki vyakhya ka vedant ‘Nivreeti” se mukta shudh “Pravreeti” ka marg tha evam tatveek dreeshti se Islam ke Pravriti marg se uska koi veerodh nahin thaa.Issliiye Swamiji ki kalpana thii kii Islam kii vyavhareekta ko aatmsat kiyee bina Vedant ke sidhaant janta ke liye upyogi nahin ho sakte. Sun 1898 mein unhonein ek chiithi mein likha tha,” Humarii Janmbhumii ka kalyan tooo ismein hai kii uske 2 dharma,Hindutva aur Islam, milker ek ho jayein.

“Vedanti mastiishik aur Islami shariir ka sanyog se jo dharm khadda hoga,vahii Bharat ki asha hai.”

Vishva-Dharma,Vishva-bandhutva aur Vishvavaad kii bhavna ka aaraanbha issi daur mein hua.Swami Vivekanandji nein Hindutva ke Sarvbhoum roop ka aur bhi vyapak vistaar kiiya.

Aatankvaad ke sandharbh mein Dharm va usske vaishviik prachaar aur zameeni- shetraphal per bhi adhikar ker shashan vyavastha aapni muthi mein kerne kii mansikta ne “Khuni,yani sashastra yudha rupi Jihaad” ko badhava deeya.(my views)

Sansar mein dharmon per ekta kaise layee jaye,isska samadhan nahin miilta. Pracheen kaal mein aanek log yeh mante the kii jo dharma sabse aacccha ho,sansar bhar ke manushyon ko ussi dharma mein diikshit ho jana chahiyee.Isska parinaam yeh hua ki pratyek dharma ke log aapne hii dharma ka vyapaak prachaar karne lage,jinmein se Islam aur Isayeeyat ke prachaarkon ne sabse aadhikk utsaah deekhlaya.Shiikago mein jo Vishwa-Dharma-Sammelan hua tha,uska bhi ek aashaye yeh tha ki sansar mein sarvottam dharma kaun -sa hai,isska nirnaya ker leeya jaye.Kintu,uss sammelan mein vivekanandji ke vicharon se sabhi chamatkrit ho gaye. Unhonein kaha ki,’Dharmiik ekta kaise ho,iss baat kii yehan kafii viichikitsa huii hai”. Iss sambhandh mein mera jo apna matvaad hai,usse prastut kerne ka sahas mein nahin karoonga. Kintu,itna kahna aavashyaak hai kii yadi koi vyakti yeh samajhta ho ki Dharmiik ekta ka marg ek dharma kii vijay aur bakii dharmon ka vinash hai,tooo mein nivedan karoonga ki bandhu!Tumhaari aasha puuri nahin hogi.Qua mein chata hoon ki Issai hindu ho jayein? Bhagwan kare kii issa na ho. Qua mein aissa chahta hoon ki sabhi hindu aur bodhh issai ho jayein?? Isshwar na kare ki aissa ho.Issai ko hindu ya bodh ko issai nahin hona hai.Kintu,Inmein se pratyek ka kartavya hai ki veh aanya dharmon ka saar aapne bheetar paccha le aur aapni vyaktikta ki,purna roop se,raksha karte hue unn neeyamon ke anusaar apna vikaas khojeinn,jo uske apne neeyan rahei hein.” Anyetr unhonein kaha hai,”Aatma ki bhasha ek hai,kintu,jatiiyon ki bhashain anek hotii hein.Dharma aatma kii vanni hai.Wahi vanni aanek jattiyon ki vividha bhashaon ththa reeti-reevazon mein abhivyakt ho rahi hai.”

Kucch log dharma ko afeem ki nasha ki tarah mantein hein aur dharmik kattarta aur ussse uttpann rurhiyein,rahasyavaad ki partein-jiska durupyog aandhvishvaas ko phailane mein kiyya jata hai.Anndh dharmikta ne rakth pat,dangon,bhisshan yudhon ka roop liya hai.Humare aur kai doosre deshon ka raqt ranjit vibhajan aur mujooda daur mein aatankvaad issi ki uppaj hai.(My views)

Swami Vivekanandji ne Dharma ko vyakti aur samaj,donon ke liye upyogi manaa hai.Dharm ke virudh sansaar mein jo bhayaanak pratikriya utthi hai,uska needan vah yeh dete the ki dosh dharma ka nahin,dharma ke galat prayog ka hai,theek vaise hi,jaise vigyan se uthnewali bhishaantaon ka dayeetva vigyaan per nahin ho ker unn logon per hai jo vigyan ka galat upyog kerte hein. Swamiji ka veechar tha ki,”Dharma ko samaj per jiss dhang se lagoo kiiya jana chahiyee tha,uss dhaang se veh lagoo kiya hii nahin gaya hai.”

Hindu dharma aapni sarii dharmik yojnaon ko karya ke roop mein parinaat kerne mein asafal rahein hein.Phir bhi agar kabhi “Vishva-dharma-jaisa dharma uttapann honewala hai,to veh hindutva ke hi saman hoga jo desh aur kal mein kahin bhi seemiit ya aabaadh nahiin hoga: jo,parmatma ke saman hi, aanant aur neerbadh hoga tatha jiske surya ka prakash krishna aur issa ke annuyaiyon peer tatha santon aur apradhiyon per ek saman chamkega.Yeh dharma na to brahaman hoga,na buddh,na issai hoga,na mussalmani,pratyut,veh inn sab ke yog aur samanjasya se uttpann hoga.”

Raja ram mohan rai ki anubhutiyon mein vishva dharam,vishwavaad goonthi hui thi.Unhonein hindu-dharma ki jo vyakhya prastut ki thi,veh vishwa-dharma kii bhumika se tanik kum nahin hai. Mukt cheentan,vyaktik swatantraya aur pratyek prakar ka vishwas rakhh ker bhi dharm-chyutt nahin hone ki yogyata,hindu dharma ke purane lakhshan rahei hein.Hindu nastik bhi raha hai aur aastik bhi,sakarvaadi bhi aur nirakarvaadi bhi,usne Mahavir ka bhi aadaar kiya hai aur Buddh ka bhi.Usne Vedon ko apourushey bhi mana hai aur purushey bhi.Vishvason mein yeh jo prachaand bhiinta hai,usse hindu ka hindutva duushiit nahin hota.Hindu janm se hii uddaar hota hai evam “kissi ek vichaaar per sabhi ko lathi se haank ker pahunchaane mein weh vishwaas nahin rakhta.”

Jab Theosophist log hindutva ka prachaar kerne lage,tab hindutva ka yeh sarvbhuum paksh kuchh aur viksiit hua.Aur Ramkrishna Param hans ne to barii barii se musalman aur kristaan ho ker iss satya per aapni anubhuti kii muhaar hi laga dii ki sansaar ke sabhi dharma ek hein,unke beech kissi prakar ka bhed-bhav mannana neetant agyanta hai.

Nivritivritivaad ke baad Pravritivaad ubhaar ker 19vin sadi mein aaya per 20vin sadii mein purn roop se nikhra.Iss dauran ussmein kafi vikritiyan bhi aayein.Issi sadi ke dauraan”Rashtravaad ki bhi aandhi aayee aur 20vin sadii ke aantim dashak mein Bhugoulikaran kii lehrein bhi aa gayein. Saath mein qua khoobiyein aur dhosh layeiin yeh charcha ka visheiye hai.Umeed nahin yakeen hai ki iss nayi sadii,yanni 21vin sadi mein hum “Nivriti/Pravriti,Rashtravaad/Bhugolikaran,….inn sabka mishran lekin Parishkrit,santulit,saymit roop mein “VISHWAAD” UBHAR KER NIKHREGA. Ab yeh hum sab per nirbhar kerta hai ki hum usse kiss tarah se swikarte hein.

Aatankwaad ka bhasmasur issi ka ek sutra hai jo iss roop mein khudd ko vishwa per kabijj kerna chahta hai,joki durdrishti se dekhein to lambe samay taq sambhav nahin hoga.Att: Muslim bhai “Islam aur Jihad” ka sahi mantavya samajhne ka prayas karein.Dharma,Sanskriti,samaj,janta aur sambhavtt; rajneeti bhi khasker muslim deshon mein…ek doosre se joodii huii hein aur prabhaveet bhi kertein hein issliye inhein sahi aur vaigyanik roop me samajh ker sweekarien.Kintu ismein vyapt nirarthak vikritiyon ko nakarna zaroori hai.Kabir ki panktiyein kahein to—”saar saar gahi kare,thotha deye uddaye”.

These are my views(spl last 2 paragraphs) assembled with Dinakerji’s….!!!



Yesterday evening (18/7/11) I have heard discussion on TV on Arnab’s show-”communalising of terror.I think it should be Politicising the terror!!!

Well I believe whether its RED,GREEN,BHAGVA orBLACK TERROR-ITS JUST A MINDSET AND STATE OF MIND.Religion in my views are “Way of life.If you believe in something or someone you start feeling and treating it as a GOD,which is one’s AAstha in it.This is how Vaishnavs does seva to Bal or Yogi krishna after doing Pranprathistha.

“Pujo to bhagwan hai,na pujo pashan”,which means if you have Aastha,shraddha in a murthi of stone/wood,it became god for you,otherwise its just an artefacts like many or a piece of stone/wood!!… Terrorists are pure criminals.And if they are using any Dharma to terrorise people or usually innocents to feel their own power…. Or have any other mission which I feel they’re actually missionless and directionless by doing so.As if terrorism has become a means of “Revenge or Badla or to posses something specially power,its short time goal and not a big mission to do Jihaad if they say so.

“If they think- like this they will impose their thoughts and beliefs,then first everyone need to understand what every religion preaches,speacially if they’re acting by putting gun on religions shoulder.But otherwise if its their mindset or state of mind,which tell’s them to create bloodbath for people’s benifit,for states benifits to expand its area,to religions benifit to impose its beliefs on all,or for their own control of Power or feeling for it…then its sad.As if you look back in history as well,no one ruled for long by spreading terror or imposing it on others.Self imposed discipline,Harmony,Love ,Congeniality,and Peace always Prevail and conquered…in personal life,in state,in ruling,in power sharing.”

aawaaz.aditifoundation.co.in

No comments: