Friday, January 22, 2010

Suicides by schoolchildren....who to blame!!!

Bhasha nahin aati hai to kabhi-kabhi batein galat tarah se preshit hotin hain....pata nahin baton ko kaoun kaise samjhei....vaise hi bhasha acchi ho to bhi cliched sentences ya vaqyon ko log sahi samajh nahin pate, for exampleCONTAGIOUS means...disease that one can touch by touching someone who is already effected by some infections...get infected,..so as it means, An idea, attitude,feeling etc that is CONTAGIOUS OR INFECTIOUS..spreads quickly among a group of people...His/her energy and enthusiasm became contagious as the campaigned progressed...a contagous SENSE OF HUMOUR....or CONTENTIOUS...means an issue,question,subject,etc, that is CONTENTIOUS causes a lot of disagreement or arguements,as he/she is well known for her views on mental illness... but then it also meant people who are quarrellsome!!! .......per main phir bhi likhoongi. Jo vishaye relevant lagega...!!!

Pichle hafte 50 se zyada school ke bacchon ne aatmahatyain ki,...samajh se bahar hai yeh...school mein councilling hoti hai,parents,teachers ....kuchh zyada sensible ho gaye hain...khuleaam pitai kum ho gayi hai...kanoonan jurm bhi hai,media coverage or logon/sansthanon ke aawaaz uthanien ke dar se bhi...teachers/parents khyaal rakhte hain...schools zyaada hain, subjects,options zyada hain,...talent ko pahchaan mil rahi hai, schools mein grading system lagooo ho gaya hai, aur aaj yeh choot ki peshkash hui haii ki 9 mein se 5 vishai mein students pass karien to pass honge....parivaar mein pahle ki tulna mein bacchhe bhi kum hain....'agar vaqt ke saath competitiveness badhi hai,kucch aanya samasyain badhi hain,padhai,kitabien,mahngi aur bhari ho gayin hain'....per samasyon ka nidan bhi ho raha hai aur raste bhi khoje ja rahe hain....phir aatmhatyaon ka silsila iss kadar badhe to chounkanien kibaat to hai,chintajanak bhi hai....!!!!

Cricketer Gautam Gambhir ka yeh kahna ki hum sab cricketer inn bachchon ke saath hain jo pareshan hain,hum unke saath kharen hain,ro rahe hain,....koi madad ho to sab karenge...per apeal hai ki yeh aatmnhatya na karien....!! sun ker aaccha laga, per Raj thakerey ka yeh kahana ki in teachers/shiksha mantriy ke kaan ke nicche aawaaz kerna chaahiye....aaaccha nahin laga....yeh kaisa solution hai???....Thik hai ki mumbai mein yeh ghatnaayein zyaada hui hain per...bacchon aur effected parivaar se milkar,teachers se milkar samadhan dhoondein to hum sabko bahut aaccha lagega....aur kucch thoos nikal ker sambhavtah aaye!!!!

No comments: